Sunday, February 10, 2013

Bhrastachar...Ek Bukhar..



neta bhi hn beemar,
afsar bhi hn beemar,
thoda hi shi pr,
hmko bhi chada bukhar,
ek h rog sbka ,
ek h sbka upchar,
bhrastachar bhrastachar,
hr or bs bhrastachar. . . . . . . . .

mareez ki goli se leke,
2g ki boli tk,

aam aadmi ki rel se leke,
common wealth ke khel tk,

ganvo ki sadko se leke,
sansad ke galiyaro tk,

mile hn jisme me sb,
bs kuch vaisa sa aachar,

bhrastachar bhrastchar,
hr or bs bhratachar. . . . . . . . .

Koi karta h ghoos leke,
koi ghoos deke karta h,

karna dastoor bn gya h,
bs nibhana pdta h,

koi bech rha khuda ko,
koi mandir ko bechta h,

ma bech rhi mamta,
beta maa ko bechta h,

jis peeda ne kiya h,
mere bharat ko lachar,

bhrastachar bhrastachar,
hr or bs bhrastachar. . . . . .

Kya kya btau tumko,
aaj sb kuch bik rha hai,

sare rah chalti maa-bahno ka,
daaman khinch rha hai,


kya kya dekha maine ,
puchho , nhi sun paoge ?

Ek 'daamini' ki asmat,
kya darindo se bchoege ?

Khud upchari hi pidit hai,
fir kaun kre upchar,

bhrastachar bhrastachar,
hr or bs bhrastachar,. . . . . . .

Kuch nare de dene se,
kuch nhi badlta,

bin sahare koi bacha,
apne pairon pe nhi chalta,

zd khokhli ho jae,
to ped kya krega,

girna hi hai anzam,
ek din to vo girega,

hme khud bad-lna hoga,
apna hindustan jo chahiye,

ek kosis to kariye,
mere sng aaiye,

hmse hi shuru hua,
krna hme hi hai upchar,

fir na rhenge bhrast hm,
na rhega bhrastachar,.

                          हरेन्द्र सिंह कुशवाह . .

No comments:

Post a Comment