Sunday, February 10, 2013

Kahan Manzoor Mujhe




Tu kisi aur ki ho ye kahaan manzoor mujhe,
Tu jaye kisi aur dar hai kahaan manjoor,
Muje nahi manjoor tera kisi aur ki bahon mein hona,
Tera pyar kisi aur ko kahaan manzoor mujhe..
.
Mujhe lagta hai ki main shayad paagal hi hoon,
Tu kisi gair ke liye paagal hai kahaan manjoor,
Majboor main bhi hoon haalat bhi hai Sanam,
Par tu ho jaye majboor kahaan manzoor mujhe.
.
Mujhe bharam nahi hai… main hosh mein hoon,
Tera behosh hona kisi k liye, kahaan manzoor mujhe,
Thoda sa nasha mujhe bin piye bhi hain aur,
Tere Naa hone ka gam, kahaan manzoor mujhe.
.
Apne naam ki khair kawn puchhta hai bolo?
Tere naam ka na hona kahaan manzoor mujhe.
Tera naam to maine khuda se joda hai Sanam,
Jud jaaye wo kisi aur se, kahaan manzoor mujhe…
.
Muje nahi manjoor tera kisi aur ki bahon mein hona,
Tera pyar kis aur ko kahaan manzoor mujhe..
Tera pyar kis aur ko kahaan manzoor mujhe.
                                                          हरेन्द्र सिंह कुशवाह

No comments:

Post a Comment